Bap Ka RastaDelhi Auto Game

Guide

Kaise khelein

Do minute padho, phir game kholo. Rule simple hai: jitna zyada todoge, utna zyada national loss. Bas bus se mat takrana.

Raaste pe utro

Controls

KaamKeyboardPhone
Gas / chalaoW ya ↑Chalao pedal
BrakeS ya ↓Brake pedal
SteeringA / D ya ← / →Baayein / daayein button
BoostShift ya SpaceBoost button
HornHHorn button
Sound bombBBomb button
Sound on/offMSpeaker icon

Kuch keyboards ↑ + ← + Space ek saath nahi pakad paate. Tab Space ki jagah right Shift dabao, ya ↑ chhod ke sirf Space dabao — boost me auto khud chalta hai.

Scoring ka hisaab

Charge aur battery

Auto battery par chalta hai. Charge kam hone par peeli line par ruk jao — wahan charge hota hai. Map par peela bijli ka nishaan ek illegal charging point hai: free charge milega, par battery aur zyada jaldi girti hai.

Boost dabane se speed badhti hai lekin charge bhi tezi se kharch hota hai. Lambi race ke liye boost ko bacha ke rakho.

Bheed aur “Sunday Monday closed”

Takkar ke baad log gussa ho jaate hain aur bhaagte hain pakadne. Pakde gaye to pitai — is liye takkar ke baad turant bhaag jao. Raste me gulabi ₹ line dikhe to dheere se us par ruk jao: sergeant ko chai-paani de kar case close ho jaata hai.

Most Wanted list

Har hafte top 20 driver “Most Wanted” list me aate hain. Game khatam hone par score khud jaata hai; agar tum top 20 me ho to poster par apna naam (24 characters tak) likh sakte ho. Naam me gaali, link ya kisi ko target karna allowed nahi — details terms me.

Tips (jitne bhi ho, koi guarantee nahi)

FAQ

Bap Ka Rasta free hai?

Haan, poora game free hai. Koi download, koi login, koi payment nahi. Sirf browser kholo aur khelo.

Phone par chalta hai?

Haan. Android aur iPhone dono par chalta hai. Touch buttons se gas, brake, steering, horn, boost aur sound bomb milte hain.

Charge khatam ho jaye to kya karein?

Peeli line par ruk jao. Wahan charge milta hai. Map par peela bijli ka nishaan illegal charging point dikhata hai.

Score kahan save hota hai?

Best score browser me, aur weekly leaderboard hamare MySQL database me. Account banane ki zaroorat nahi. Details privacy policy me.

Kya yeh asli driving sikhata hai?

Nahi. Yeh ek parody game hai. Asli sadak par hamesha helmet, seatbelt aur traffic rules follow karo.

Game khelo Bug batao